One thought on “صرف ایک بارش!”

  1. Mauzrat k sath kehna par raha hai k jab say ankh khuli hai koi positivity nahi daikhi apnay country ko lay kar.Mujay toh taqreeban 27 saal honay ko hain aur bachpan say jawani guzar gae hai , utar charhao hi daikha hai. Ab ais mulk kay bhuray sayasatdan koi aqal rakhnay walay nojawano ko talkeen karty hain kay ap pay farz hai ab mulk ko theek karna.
    Ain hakomtun nay koi adara ni chora k jis ka image positive ho.Mera shikwa hai un sub ko jo nojawano ko muhatab karty hain kay “nojawano ko diya kia hai aj tak kisi bhi hakomat nay jo umeed laga bhaithy ho nojawano say”
    Mujay yaqeen hai k karachi k ain departments main abi tak wohi culture hai k guzara karo, kia karna hai saaf kar k, hojay ga jab sir par pari.Ais awam k sath sath hamaray uper jo musalat hain unki bhi yahi soch hai
    “kar lawan gay jadun rola piya”.

Leave a Reply

Your email address will not be published.

Please Type *